Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan

jaanen mushtaqon ki lab par aaiyan

balbe zalim teri be-parwaiyan

subh hone aai raat aaKHir hui

bas kahan tak shoKHiyan machlaiyan

bis bhari nagin hai kya hi zulf-e-yar

jis ko dekh afi ne lahren khaiyan

jeb to kya naseha daman ki bhi

dhajjiyan kar ishq ne dikhlaiyan

sada-rui hi ghazab thi tis upar

karte ho har lahza husn-araiyan

us saman-andam gul-ruKHsar ki

jaan-faza nikhat chura kar laiyan

sun ke ye baad-e-saba ne bagh mein

gaThriyan ghunchon ki phir khulwaiyan

leTa chhati par meri leta tha wo

aah kis kis aan se angDaiyan

is samay ko dekh kar sau rashk se

mauj ne dariya pe lahren khaiyan

dekhte hi us ko shaida ho gaya

kya huin 'bedar' wo danaiyan

(262) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jaanen Mushtaqon Ki Lab Par Aaiyan in PDF.