Jaanun Main Na Jabki Nam Us Ka

jaanun main na jabki nam us ka

puchhun kya kah maqam us ka

hai dil kun tapish kuchh aur hi aaj

lata hai koi payam us ka

nama ki to kya jagah ki qasid

laya hi na yan salam us ka

mat lijiyo dil tu chah ka nam

qatl-e-ashiq hai kaam us ka

ho jaega paemal 'bedar'

dekhega agar KHiram us ka

(286) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaanun Main Na Jabki Nam Us Ka In English By Famous Poet Meer Mohammadi Bedar. Jaanun Main Na Jabki Nam Us Ka is written by Meer Mohammadi Bedar. Read famous Poem Jaanun Main Na Jabki Nam Us Ka for youth and Student by Meer Mohammadi Bedar. Free Download Jaanun Main Na Jabki Nam Us Ka in PDF.