Safar Ka Silsila AaKHir Kahan Tamam Karun

safar ka silsila aaKHir kahan tamam karun

kahan charagh chalaun kahan qayam karun

sabhi ke sar pe hai rakkhi kulah naKHwat ki

qadon ki bhiD mein kis kis ka ehtiram karun

hain jitne mohre yahan sare piTne wale hain

kise main shah karun apna kise ghulam karun

ajib shahr hai koi suKHan-shanas nahin

mata-e-fikr main mansub kis ke nam karun

mera shanasa hai koi na ham-zaban hai koi

dayar-e-ghair mein phir kis se main kalam karun

sajaun us ke liye ghar bichhaun palken 'zafar'

wo aa raha hai to kuchh main bhi ehtimam karun

(935) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Safar Ka Silsila AaKHir Kahan Tamam Karun In English By Famous Poet Zafar Iqbal Zafar. Safar Ka Silsila AaKHir Kahan Tamam Karun is written by Zafar Iqbal Zafar. Read famous Poem Safar Ka Silsila AaKHir Kahan Tamam Karun for youth and Student by Zafar Iqbal Zafar. Free Download Safar Ka Silsila AaKHir Kahan Tamam Karun in PDF.