Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye

har ehtimam hai do din ki zindagi ke liye

sukun-e-qalb nahin phir bhi aadmi ke liye

tamam umr KHushi ki talash mein guzri

tamam umr taraste rahe KHushi ke liye

na kha fareb wafa ka ye bewafa duniya

kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye

ye daur-e-shams-o-qamar ye farogh-e-ilm-o-hunar

zamin phir bhi tarasti hai raushni ke liye

kabhi uThe the jo KHurshid-e-zindagi ban kar

taras rahe hain wo taron ki raushni ke liye

sitam-taraazi-e-daur-e-KHirad KHuda ki panah

ki aadmi hi musibat hai aadmi ke liye

rah-e-hayat ki tarikiyon mein ai 'zahid'

charagh-e-dil hai mere pas raushni ke liye

(1512) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye In English By Famous Poet Abul Mujahid Zahid. Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye is written by Abul Mujahid Zahid. Read famous Poem Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye for youth and Student by Abul Mujahid Zahid. Free Download Har Ehtimam Hai Do Din Ki Zindagi Ke Liye in PDF.