Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain

nai subh chahte hain nai sham chahte hain

jo ye roz o shab badal de wo nizam chahte hain

wahi shah chahte hain jo ghulam chahte hain

koi chahta hi kab hai jo awam chahte hain

isi baat par hain barham ye sitamgaran-e-alam

ki jo chhin gaya hai hum se wo maqam chahte hain

kise harf-e-haq sunaun ki yahan to us ko sunna

na KHawas chahte hain na awam chahte hain

ye nahin ki tu ne bheja hi nahin payam koi

magar ek wahi na aaya jo payam chahte hain

teri rah dekhti hain meri tishna-kaam aankhen

tere jalwe mere ghar ke dar-o-baam chahte hain

wo kitab-e-zindagi hi na hui murattab ab tak

ki hum intisab jis ka tere nam chahte hain

na murad hogi puri kabhi un shikariyon ki

mujhe dekhna jo 'zahid' tah-e-dam chahte hain

(2440) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain In English By Famous Poet Abul Mujahid Zahid. Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain is written by Abul Mujahid Zahid. Read famous Poem Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain for youth and Student by Abul Mujahid Zahid. Free Download Nai Subh Chahte Hain Nai Sham Chahte Hain in PDF.