Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain

teri gali mein jo dhuni ramae baiThe hain

ajal-rsida hain marne ko aae baiThe hain

karo hamari bhi KHatir nikal ke parde se

ki mehman hain tumhaare bulae baiThe hain

hamari baghlon mein bu-e-murad aati hai

tumhaare pahlu mein hum jab se aae baiThe hain

diya jo itr unhin aashiqon ko miTTi ka

kaha ki hum na malenge nahae baiThe hain

uTha ke bazm se KHalwat mein tum ko le jate

ye sochte hain ki apne parae baiThe hain

wo shab ko bazm mein hans hans ke puchhte the hamein

ye kaun hain ki jo aansu bahae baiThe hain

azal se hai ye do-alam mein raushni jis ki

usi charagh se hum lau lagae baiThe hain

bahaar o nikhat-e-gul hoti hain nisar un par

chaman mein rang wo apna jamae baiThe hain

yahan bhi chain se sone na paenge afsos

mazar mein bhi nakirain aae baiThe hain

uThaoge hamein ab kya tum apni mahfil se

hum aarzu-o-hawas ke biThae baiThe hain

bahaar mein nai sujhi hai un ko gustaKHi

urus-e-bagh ka ghungat uThae baiThe hain

farefta teri is tirchhi tirchhi chitwan ke

chhuri kalejon mein apne lagae baiThe hain

hamare dafn-o-kafan ki bas ab karo tadbir

KHabar bhi hai tumhein hum zahr khae baiThe hain

ye kuchh na samjhenge saudaiyon pe rahm karo

hawas-o-hosh junun mein uDae baiThe hain

farishte dekhiye karte hain hum se kya pursish

mare paDe the lahad mein jilae baiThe hain

faqir kyun ye hue hain 'sharaf' se puchho to

bhabhut mal ke jo dhuni ramae baiThe hain

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Teri Gali Mein Jo Dhuni Ramae BaiThe Hain in PDF.