Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam

tere waste jaan pe khelenge hum ye samai hai dil mein KHuda ki qasam

rah-e-ishq se ab na haTenge qadam hamein apne hi sidq-o-safa ki qasam

mere purze agarche uDaiyega to gul-e-zaKHm se mahkegi ishq ki bu

khinche tegh teri to ragaD dun gulu mujhe tere hi jaur-o-jafa ki qasam

mera nam jo yar hai puchh raha main bata dun tujhe jo laqab hai mera

mujhe kahte hain kushta-e-naz-o-ada tere ghamza-e-hosh-ruba ki qasam

lab-e-gor agarche judai mein hun magar aaina-e-dil ki safai mein hun

tera mahw KHuda ki KHudai mein hun mujhe apne hi ishq-o-wafa ki qasam

kiye tum ne jo zulm wo main ne sahe meri aankhon se barson hi ashk bahe

koi ghamza-o-ishwa ab uTh na rahe tumhein apne hi naz-o-ada ki qasam

shab-e-hijr mein aankh jo band hui teri zulf ki yaad do chand hui

meri sans ulajh ke kamand hui mujhe teri hi zulf-e-dota ki qasam

teri chaal se hashr bapa jo kiya tere KHauf se haal meri ye hua

hui jati thi ruh badan mein fana mujhe aamad-e-roz-e-jaza ki qasam

mere hathon mein KHun malo to zara tumhin dekho to rang dikhata hai kya

karo aaj numud-e-shahid-e-ada tumhein shoKHi-e-rang-e-hina ki qasam

kaha laila ne hai mujhe qais ka gham mere dil ko hai us ke junun ka alam

nahin chain judai mein ab koi dam use wahshi-e-be-sar-o-pa ki qasam

teri bazm ka misl hi yar nahin ki jinan mein ye naqsh-o-nigar nahin

kahin tere chaman se bahaar nahin mujhe bagh-e-iram ki faza ki qasam

gham-e-daulat-e-wasl mein ho ke hazin rah-e-ishq-o-wafa mein hain KHak-nashin

hawas ab hamein jah-o-hasham ki nahin hamein tere hi nashw-o-numa ki qasam

ye dua hai qafas mein bara-e-chaman ki gulon se KHuda na chhuDae chaman

mujhe rakhti hai zinda hawa-e-chaman gul-o-ghuncha-o-baad-e-saba ki qasam

tera shefta hun meri tujh mein hai jaan tah-e-tegh na kar mujhe jaan-e-jahan

mera ghusse mein aa ke miTa na nishan tujhe jah-o-jalal-e-KHuda ki qasam

ye hawas hai ki dard-e-jigar mein marun jo masih bhi aae to dam na bharun

kabhi tere siwa na ilaj karun mujhe tere hi dast-e-shifa ki qasam

sharaf us ne diye hamein saikDon dam rahe tinat saf se pak hi hum

kahi baat agar to sach hi kahi kabhi jhuT na bole KHuda ki qasam

(1054) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam In English By Famous Poet Agha Hajju Sharaf. Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam is written by Agha Hajju Sharaf. Read famous Poem Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam for youth and Student by Agha Hajju Sharaf. Free Download Tere Waste Jaan Pe Khelenge Hum Ye Samai Hai Dil Mein KHuda Ki Qasam in PDF.