Maqtal Ki Bazdid

bala ki pyas us ki aankh mein hai

hijaz ki sarzamin pe is sal is qadar barishen hui hain ki KHushk talab

KHun-e-nahaq se bhar gae hain

lahu ki pyas us ki aankh mein hai

nafas mein barud jis ki qatil sada ka shoala

qadam qadam tahniyat ke raste rawan hua to wo naKHl jis ki jaDen zaminon ke

dard mein thin

jhuka kuchh aise ki jaise haal-e-rukua mein ho

udas tair jo shaKH par the

jo gumbadon ki panah mein the

jo jaliyon ke tawaf mein the

Dare hue aasman-e-hijrat ki Tahniyon se

nasheb mein us zamin-e-maqtal ko dekhte hain

jahan wo naKHl is tarah gira hai ki jaise haal-e-sujud mein ho

ek aur talab taza barish se bhar gaya hai

(828) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maqtal Ki Bazdid In English By Famous Poet Akhtar Husain Jafri. Maqtal Ki Bazdid is written by Akhtar Husain Jafri. Read famous Poem Maqtal Ki Bazdid for youth and Student by Akhtar Husain Jafri. Free Download Maqtal Ki Bazdid in PDF.