Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai

aish hi aish hai na sab gham hai

zindagi ek hasin sangam hai

jam mein hai jo mishal-e-gul-rang

teri aankhon ka aks-e-mubham hai

ai gham-e-dahr ke giraftaro

aish bhi sarnawisht-e-adam hai

nok-e-mizhgan pe yaad ka aansu

mausam-e-gul ki sard shabnam hai

dard-e-dil mein kami hui hai kahin

tum ne puchha to kah diya kam hai

miTti jati hai banti jati hai

zindagi ka ajib aalam hai

ek zara muskura ke bhi dekhen

gham to ye roz roz ka gham hai

puchhne wale shukriya tera

dard to ab bhi hai magar kam hai

kah raha tha main apna afsana

kyun tera daman-e-mizha nam hai

gham ki tarikiyon mein ai 'zaidi'

raushni wo bhi hai jo maddham hai

(800) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Aish Hi Aish Hai Na Sab Gham Hai in PDF.