Tere Dayar Mein Koi Gham-ashna To Nahin

tere dayar mein koi gham-ashna to nahin

magar wahan ke siwa aur rasta to nahin

simaT ke aa gai duniya qarib-e-mai-KHana

koi batao yahi KHana-e-KHuda to nahin

labon par aaj tabassum ki mauj machli hai

koi mujhe kisi goshe se dekhta to nahin

bana len rah isi KHar-zar se ho kar

junun-e-shauq ka ye faisla bura to nahin

sabab ho kuchh bhi tere infial ka lekin

meri shikast se pahle kabhi hua to nahin

na reg-e-garm na kanTe na rahzan na ghanim

ye rasta kahin ghairon ka rasta to nahin

dayar-e-sajda mein taqlid ka riwaj bhi hai

jahan jhuki hai jabin un ka naqsh-e-pa to nahin

KHayal-e-sahil o fikr-e-tabah-kari-e-mauj

ye sab hai phir bhi tamanna-e-naKHuda to nahin

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Dayar Mein Koi Gham-ashna To Nahin In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Tere Dayar Mein Koi Gham-ashna To Nahin is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Tere Dayar Mein Koi Gham-ashna To Nahin for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Tere Dayar Mein Koi Gham-ashna To Nahin in PDF.