Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya

naya mai-kade mein nizam aa gaya

uThin bandishen izn-e-am aa gaya

nazar mein wo kaif-e-dawam aa gaya

ki goya kisi ka payam aa gaya

mohabbat mein wo bhi maqam aa gaya

ki mizhgan pe KHun lab pe nam aa gaya

sar-e-rah kanTe bichhata hai shauq

junun ko bhi kuchh ehtimam aa gaya

na ilzam un par na aghyar par

ye dil aap hi zer-e-dam aa gaya

badal hi gaya bazm-e-ishrat ka rang

mera naghma-e-dard kaam aa gaya

kidhar se ye sanki mahakti hawa

kidhar se wo nazuk-KHiram aa gaya

tamasha nahin tha mera iztirab

koi kyun ye baala-e-baam aa gaya

bayan ho raha tha fasana mera

magar bar-bar un ka nam aa gaya

kabhi samne kuchh KHamoshi rahi

kabhi dur se kuchh payam aa gaya

jo dar-o-rasan se bhi rukta nahin

saron mein wo sauda-e-KHam aa gaya

wo 'zaidi' wahi rind-e-atish-nawa

wo zinda dilon ka imam aa gaya

(626) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Naya Mai-kade Mein Nizam Aa Gaya in PDF.