Manzil-e-dil Mili Kahan KHatm-e-safar Ke Baad Bhi

manzil-e-dil mili kahan KHatm-e-safar ke baad bhi

rahguzar ek aur thi rahguzar ke baad bhi

aaj tere sawal par phir mere lab KHamosh hain

aisi hi kashmakash thi kuchh pahli nazar ke baad bhi

dil mein the lakh waswase jalwa-e-aftab tak

rah gai thi jo tirgi nur-e-sahar ke baad bhi

naseh-e-maslahat-nawaz tujh ko bataun kya ye raaz

hausla-e-nigah hai KHun-e-jigar ke baad bhi

haar ke bhi nahin miTi dil se KHalish hayat ki

kitne nizam miT gae jashn-e-zafar ke baad bhi

koi mera hi aashiyan hasil-e-fasl-e-gul na tha

han ye bahaar hai bahaar raqs-e-sharar ke baad bhi

ek tumhaari yaad ne lakh diye jalae hain

aamad-e-shab ke qabl bhi KHatm-e-sahar ke baad bhi

(715) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Manzil-e-dil Mili Kahan KHatm-e-safar Ke Baad Bhi In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Manzil-e-dil Mili Kahan KHatm-e-safar Ke Baad Bhi is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Manzil-e-dil Mili Kahan KHatm-e-safar Ke Baad Bhi for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Manzil-e-dil Mili Kahan KHatm-e-safar Ke Baad Bhi in PDF.