Ek Aah-e-zer-e-lab Ke Gunahgar Ho Gae

ek aah-e-zer-e-lab ke gunahgar ho gae

ab hum bhi daKHil-e-saf-e-aghyar ho gae

jis dard ko samajhte the hum un ka faiz-e-KHas

us dard ke bhi lakh KHaridar ho gae

jin hauslon se mera junun mutmain na tha

wo hausle zamane ke mear ho gae

har wada jaise harf-e-ghalat tha sarab tha

hum to nisar-e-jurat-e-inkar ho gae

sarsabz pattiyon ka lahu chus chus kar

kitne hi phul raunaq-e-gulzar ho gae

'zaidi' ne taza sher sunae ba-rang-e-KHas

hum bhi KHuda-e-shoKHi-e-afkar ho gae

(633) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Aah-e-zer-e-lab Ke Gunahgar Ho Gae In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Ek Aah-e-zer-e-lab Ke Gunahgar Ho Gae is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Ek Aah-e-zer-e-lab Ke Gunahgar Ho Gae for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Ek Aah-e-zer-e-lab Ke Gunahgar Ho Gae in PDF.