Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain

jo maqsad girya-e-paiham ka hai wo hum samajhte hain

magar jin ko samajhna chahiye tha kam samajhte hain

zara mere junun ki kawish-e-tamir to dekhen

jo bazm-e-zindagi ko darham o barham samajhte hain

un aankhon mein nahin nashtar KHud apne dil mein pinhan hai

ab itni baat to kuchh hum bhi ai hamdam samajhte hain

ye un ki mehrbani hai ye un ki izzat-afzai

ki mere zaKHm ko wo laiq-e-marham samajhte hain

hum ahl-e-dil ne meayar-e-mohabbat bhi badal Dale

jo gham har fard ka gham hai usi ko gham samajhte hain

jhijakte se qadam bahki si nazren rukti si baaten

ye andaz-e-tajahul wo hai jis ko hum samajhte hain

suluk-e-dost bhi hai ek ishaara tez-gami ka

hum ahl-e-karwan aanchal ko bhi parcham samajhte hain

haTo ahl-e-KHirad ahl-e-junun ko jaane do aage

wahi kuchh rah-e-hasti ke ye pech o KHam samajhte hain

palak se is tarah Tapka ki goya ek kali chaTki

hum ahl-e-dard ashk-e-gham ko bhi shabnam samajhte hain

KHulus-e-zahiri rozana ek mahfil sajata hai

samajhte wo bhi hain lekin abhi kam kam samajhte hain

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Jo Maqsad Girya-e-paiham Ka Hai Wo Hum Samajhte Hain in PDF.