Jawani Harif-e-sitam Hai To Kya Gham

jawani harif-e-sitam hai to kya gham

taghayyur hi agla qadam hai to kya gham

har ek shai hai fani to ye gham bhi fani

meri aankh gar aaj nam hai to kya gham

mere hath suljha hi lenge kisi din

abhi zulf-e-hasti mein KHam hai to kya gham

KHushi kuchh tere hi liye to nahin hai

agar haq mera aaj kam hai to kya gham

mere KHun pasine se gulshan banenge

tere bas mein abr-e-karam hai to kya gham

mera karwan baDh raha hai baDhega

agar ruKH pe gard-e-alam hai to kya gham

ye mana ki rahbar nahin hai misali

magar apne sine mein dam hai to kya gham

mera karwan aap rahbar hai apna

ye shiraaza jab tak baham hai to kya gham

tere pas tabal o alam hain to honge

mere pas zor-e-qalam hai to kya gham

(778) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jawani Harif-e-sitam Hai To Kya Gham In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Jawani Harif-e-sitam Hai To Kya Gham is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Jawani Harif-e-sitam Hai To Kya Gham for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Jawani Harif-e-sitam Hai To Kya Gham in PDF.