Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe

rah-e-ulfat mein mile aise bhi diwane mujhe

jo maal-e-dosti aae the samjhane mujhe

ishq ki halki si pahli aanch hi mein jal bujhe

kya bhala dard-e-wafa denge ye parwane mujhe

ye to kahiye be-KHudi se mil gai kuchh aagahi

warna dhoka de diya tha chashm-e-bina ne mujhe

na-muradi luT hi leti mata-e-arzu

ek sahaara de diya ehsas-e-farda ne mujhe

kis se kahta dil ki baaten kis se sunta un ka raaz

bazm mein to sab nazar aate hain begane mujhe

tauba tauba na-ummidi ki KHayal-araiyan

dekhte hon jaise KHud lalcha ke paimane mujhe

mera ek adna sa partaw hai nizam-e-kaenat

kya samajh rakkha hai is mahdud duniya ne mujhe

jab kabhi dekha hai ai 'zaidi' nigah-e-ghaur se

har haqiqat mein mile hain chand afsane mujhe

(714) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Rah-e-ulfat Mein Mile Aise Bhi Diwane Mujhe in PDF.