Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin

shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

han magar ashk jab umDe the chhupae to nahin

teri mahfil ke bhi aadab ki dil Darta hai

meri aankhon ne durr-e-ashk luTae to nahin

chhan li KHak bayabanon ki viranon ki

phir bhi andaz-e-junun aql ne pae to nahin

lakh pur-wahshat o pur-haul sahi sham-e-firaq

hum ne ghabra ke diye din se jalae to nahin

ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki wo

na bulae na sahi dil se bhulae to nahin

hijr ki raat ye har Dubte tare ne kaha

hum na kahte the na aaenge wo aae to nahin

inqilab aate hain rahte hain jahan mein lekin

jo banane ka na ho ahl miTae to nahin

apni is shoKHi-e-raftar ka anjam na soch

fitne KHud uThne lage tu ne uThae to nahin

(769) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Shikwe Hum Apni Zaban Par Kabhi Lae To Nahin in PDF.