Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho

tere halke se tabassum ka ishaara bhi to ho

ta sar-e-dar pahunchne ka sahaara bhi to ho

shikwa o tanz se bhi kaam nikal jate hain

ghairat-e-ishq ko lekin ye gawara bhi to ho

mai-kashon mein na sahi tishna-labon mein hi sahi

koi gosha teri mahfil mein hamara bhi to ho

kis taraf moD den TuTi hui kashti apni

aise tufan mein kahin koi kinara bhi to ho

hai gham-e-ishq mein ek lazzat-e-jawed magar

is gham-e-dahr se ai dil koi chaara bhi to ho

mai-kade bhar pe tera haq hai magar pir-e-mughan

ek kisi chiz pe rindon ka ijara bhi to ho

ashk-e-KHunin se jo sinche the bayaban hum ne

un mein ab lala o nasrin ka nazara bhi to ho

jam ubal paDte hain mai luTti hai KHum TuTte hain

nigah-e-naz ka dar-parda ishaara bhi to ho

pi to lun aankhon mein umDe hue aansu lekin

dil pe qabu bhi to ho zabt ka yara bhi to ho

aap is wadi-e-viran mein kahan aa pahunche

main gunahgar magar main ne pukara bhi to ho

(754) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Tere Halke Se Tabassum Ka Ishaara Bhi To Ho in PDF.