Uf Wo Ek Harf-e-tamanna Jo Hamare Dil Mein Tha

uf wo ek harf-e-tamanna jo hamare dil mein tha

ek tufan tha ki barson hasrat-e-sahil mein tha

rafta rafta har tamasha aansuon mein Dhal gaya

jaane kya aankhon ne dekha aur kya manzil mein tha

dastan-e-gham se lakhon dastanen ban gai

phir bhi wo ek raaz-e-sar-basta raha jo dil mein tha

chashm-e-saqi ke alawa jam-e-KHali ke siwa

kaun apna aashna aghyar ki mahfil mein tha

mere armanon ka markaz mere dardon ka ilaj

TimTimata sa diya ek gosha-e-manzil mein tha

guftugu ke KHatm ho jaane par aaya ye KHayal

jo zaban tak aa nahin paya wahi to dil mein tha

miT gain imroz o farda ki hazaron uljhanen

jo sukun tufan mein paya hai wo kab sahil mein tha

(743) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Uf Wo Ek Harf-e-tamanna Jo Hamare Dil Mein Tha In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Uf Wo Ek Harf-e-tamanna Jo Hamare Dil Mein Tha is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Uf Wo Ek Harf-e-tamanna Jo Hamare Dil Mein Tha for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Uf Wo Ek Harf-e-tamanna Jo Hamare Dil Mein Tha in PDF.