Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse

dabi aawaz mein karti thi kal shikwe zamin mujh se

ki zulm o jaur ka ye bojh uTh sakta nahin mujh se

agar ye kashmakash baqi rahi jahl o tamaddun ki

zamana chhin lega daulat-e-ilm-o-yaqin mujh se

tumhin se kya chhupana hai tumhaari hi to baaten hain

jo kahti hai tamanna ki nigah-e-wapsin mujh se

nigahen chaar hote hi bhala kya hashr uTh jata

yaqinan is se pahle bhi mile hain wo kahin mujh se

dikha di main ne wo manzil jo in donon ke aage hai

pareshan hain ki aaKHir ab kahen kya kufr o din mujh se

ye mana zarra-e-awara-e-dasht-e-wafa hun main

nibhana hi paDega tujh ko duniya-e-hasin mujh se

sar-e-manzil pahunch kar aaj ye mahsus hota hai

ki lakhon laghzishen har gam par hoti rahin mujh se

udhar sari tamannaon ka markaz aastan un ka

idhar barham tamanna par meri sarkash jabin mujh se

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse In English By Famous Poet Ali Jawwad Zaidi. Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse is written by Ali Jawwad Zaidi. Read famous Poem Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse for youth and Student by Ali Jawwad Zaidi. Free Download Dabi Aawaz Mein Karti Thi Kal Shikwe Zamin Mujhse in PDF.