Ek Gali Se KHushbu Ki Rasm-o-rah Kafi Hai

ek gali se KHushbu ki rasm-o-rah kafi hai

lakh jabr mausam ho ye panah kafi hai

niyyat-e-zuleKHa ki khoj mein rahe duniya

apni be-gunahi ko dil gawah kafi hai

umr-bhar ke sajdon se mil nahin saki jannat

KHuld se nikalne ko ek gunah kafi hai

aasman pe ja baiThe ye KHabar nahin tum ko

arsh ke hilane ko ek gunah kafi hai

pairwi se mumkin hai kab rasai manzil tak

naqsh-e-pa miTane ko gard-e-rah kafi hai

chaar din ki hasti mein hans ke ji liye 'amabar'

be-nashat duniya se ye nibah kafi hai

(1205) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Gali Se KHushbu Ki Rasm-o-rah Kafi Hai In English By Famous Poet Ambareen Haseeb Ambar. Ek Gali Se KHushbu Ki Rasm-o-rah Kafi Hai is written by Ambareen Haseeb Ambar. Read famous Poem Ek Gali Se KHushbu Ki Rasm-o-rah Kafi Hai for youth and Student by Ambareen Haseeb Ambar. Free Download Ek Gali Se KHushbu Ki Rasm-o-rah Kafi Hai in PDF.