Kaghaz Tha Main Diye Pe Mujhe Rakh Diya Gaya

kaghaz tha main diye pe mujhe rakh diya gaya

ek aur martabe pe mujhe rakh diya gaya

ek be-badan ka aks banaya gaya hun main

be-ab aaine pe mujhe rakh diya gaya

kuchh to khinchi khinchi si thi saat visal ki

kuchh yun bhi fasle pe mujhe rakh diya gaya

munh-mange dam de ke KHarida aur us ke baad

ek KHas zawiye pe mujhe rakh diya gaya

kal raat mujh ko chori kiya ja raha tha yar

aur mere jagne pe mujhe rakh diya gaya

achchha bhala paDa tha main apne wajud mein

duniya ke raste pe mujhe rakh diya gaya

pahle to meri miTTi se mujh ko kiya charagh

phir mere maqbare pe mujhe rakh diya gaya

'anjum' hawa ke zor pe jaana hai us taraf

pani ke bulbule pe mujhe rakh diya gaya

(819) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaghaz Tha Main Diye Pe Mujhe Rakh Diya Gaya In English By Famous Poet Anjum Saleemi. Kaghaz Tha Main Diye Pe Mujhe Rakh Diya Gaya is written by Anjum Saleemi. Read famous Poem Kaghaz Tha Main Diye Pe Mujhe Rakh Diya Gaya for youth and Student by Anjum Saleemi. Free Download Kaghaz Tha Main Diye Pe Mujhe Rakh Diya Gaya in PDF.