Sina-e-sang Mein DhunDhta Hai Gudaz

sina-e-sang mein DhunDhta hai gudaz

de KHuda dil ko ek aur umr-e-daraaz

hum dikhana bhi chahen agar kuchh ko kuchh

aainon se karen kis tarah saz-baz

ek taraf KHwab hai ek taraf zindagi

dekhiye kaun hota hai ab sarfaraaz

tere gham se mili dil ko wo zindagi

tujh se bhi kar diya hai hamein be-niyaz

is tarah meri aankhon se aansu bahe

be-wuzu hi ada ho gai har namaz

ru-ba-ru us ke dil hi ko le kar chalen

bah chalega to KHun baj uThega to saz

ye jhuke ya kaTe bas tere waste

mere kandhon ko de wo sar-e-imtiyaz

un se bhi dil ko 'asrar' kaise kahin

raaz ko to ba-har-haal rakhna hai raaz

(651) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sina-e-sang Mein DhunDhta Hai Gudaz In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Sina-e-sang Mein DhunDhta Hai Gudaz is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Sina-e-sang Mein DhunDhta Hai Gudaz for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Sina-e-sang Mein DhunDhta Hai Gudaz in PDF.