Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha

jaante the gham tera dariya bhi tha gahra bhi tha

Dubne se peshtar socha bhi tha samjha bhi tha

aaina ai kash tu apna bana leta mujhe

faeda is mein bahut tera bhi tha mera bhi tha

ek azab-e-jaan thi us ki tunak-KHui magar

zaiqa us dard ka miTha bhi tha tikha bhi tha

kaise paDh leta main us chehre se apna haal-e-dil

wo ruKH-e-jugnu-sifat jalta bhi tha bujhta bhi tha

yun kiya hai muddaton main ne ghazal ka mashghala

ek tere nam ko likhta bhi tha paDhta bhi tha

dil ki rahon mein ba-har-surat rahi ek raushni

chand tere dard ka baDhta bhi tha ghaTta bhi tha

hum ne tere aks ko taqsim kab hone diya

aaina to barha TuTa bhi tha bikhra bhi tha

jab wo ruKHsat ho gae hum se to yaad aaya hamein

un se ai 'asrar' kuchh kahna bhi tha sunna bhi tha

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Jaante The Gham Tera Dariya Bhi Tha Gahra Bhi Tha in PDF.