Sunta Raha Hai Aur Sunega Jahan Mujhe

sunta raha hai aur sunega jahan mujhe

yun rakh gaya hai koi sar-e-dastan mujhe

suqraat kya masih kya zikr-e-husain kya

mazi suna raha hai meri dastan mujhe

be-nur mere baad hui bazm-e-kainat

tum to bata rahe the bahut raegan mujhe

maujon se ek umr raha marka magar

gharqab kar gain meri gahraiyan mujhe

kis ko guman tha waqt ka Dhalte hi aaftab

aa kar Daraengi meri parchhaiyan mujhe

'asrar' un ke lab to khulen kuchh jawab mein

na bhi agar kahenge to wo hogi han mujhe

(591) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sunta Raha Hai Aur Sunega Jahan Mujhe In English By Famous Poet Asrarul Haq Asrar. Sunta Raha Hai Aur Sunega Jahan Mujhe is written by Asrarul Haq Asrar. Read famous Poem Sunta Raha Hai Aur Sunega Jahan Mujhe for youth and Student by Asrarul Haq Asrar. Free Download Sunta Raha Hai Aur Sunega Jahan Mujhe in PDF.