Jahan-e-fikr-o-nazar Ka Sabaat Le Ke Gaya

jahan-e-fikr-o-nazar ka sabaat le ke gaya

wo sirf dil hi nahin kaenat le ke gaya

wo ahd-e-rafta wo ulfat wo ehtiram-e-wafa

gaya to sath mein sari sifat le ke gaya

bhaTak rahe the sarab-e-nazar liye har-su

shuur-e-ishq jahan dil ko sath le ke gaya

main sirf us ko taghaful kahun to kaise kahun

gaya to sath mein har iltifat le ke gaya

ghurur le ke mara iKHtiyar-e-hasti ka

tu apni fikr-e-hayat-o-mamat le ke gaya

lahad wahi hai magar aa chuke nae murde

to waqt lash ki sab baqiyat le ke gaya

zamir bechne wale wo tera sauda-gar

zamir hi nahin zat o sifat le ke gaya

wo aur kuchh bhi na rakhta tha jism o jaan ke siwa

suna 'shahid' mata-e-hayat le ke gaya

(874) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan-e-fikr-o-nazar Ka Sabaat Le Ke Gaya In English By Famous Poet Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Jahan-e-fikr-o-nazar Ka Sabaat Le Ke Gaya is written by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Read famous Poem Jahan-e-fikr-o-nazar Ka Sabaat Le Ke Gaya for youth and Student by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Free Download Jahan-e-fikr-o-nazar Ka Sabaat Le Ke Gaya in PDF.