Yaadon Ka Jazira Shab-e-tanhai Mein

yaadon ka jazira shab-e-tanhai mein

masruf hai yaadon ki pazirai mein

ab bhi wahi izhaar-e-taghaful ka mizaj

ab bhi wahi andesha shanasai mein

isbaat nafi ho ki nafi ho isbaat

kyun jaun main alfaz ki gahrai mein

kuchh log to manzil ki KHabar bhi le aae

hum mast rahe lazzat-e-KHud-rai mein

chhoDun bhi KHayal un ka to kya hasil ho

kya KHak kami aaegi ruswai mein

aane mein masiha ko tha pahle hi hijab

naseh bhi tha andesha-e-ruswai mein

tafriq ke KHugar to sabhi ek hue

masruf hain hum log saf-arai mein

kis darja masarrat hai ki ab KHun-e-'shahid'

kaam aaya teri anjuman-arai mein

(905) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Jazira Shab-e-tanhai Mein In English By Famous Poet Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Yaadon Ka Jazira Shab-e-tanhai Mein is written by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Read famous Poem Yaadon Ka Jazira Shab-e-tanhai Mein for youth and Student by Aziz-ur-Rahman Shaheed Fatehpuri. Free Download Yaadon Ka Jazira Shab-e-tanhai Mein in PDF.