Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta

mashuq hamein baat ka pura nahin milta

dil jis se milaen koi aisa nahin milta

duniya mein agar DhunDiye to kya nahin milta

sab milte hain ek chahne wala nahin milta

ushshaq se yun aankh tumhaari nahin milti

aghyar se dil jaise hamara nahin milta

rahti hai kasar ek na ek baat ki sab mein

hum ko to in achchhon mein bhi achchha nahin milta

kuchh haal sune kuchh hamein tadbir batae

gham-KHwar to kaisa koi itna nahin milta

kya muft mein tum dil ke KHaridar bane ho

be-KHarch kiye dam ye sauda nahin milta

jab dekhiye hamrah hai dushman ka tasawwur

hum se to wo KHalwat mein bhi tanha nahin milta

dil koi milata nahin TuTe hue dil se

duniya mein hamein joD hamara nahin milta

barbaad kiya yas ne yun KHana-e-dil ko

DhunDe se bhi ab dagh-e-tamanna nahin milta

jo baat hai duniya se nirali hai nai hai

andaz kisi mein bhi tumhaara nahin milta

aankhen kahe deti hain ki dil saf nahin hai

milta hai wo is rang se goya nahin milta

kahte hain jalane ko hum aghyar ke munh par

aison se to wo rashk-e-masiha nahin milta

zahir hai mulaqat hai baatin mein judai

tum milte ho dil hum se tumhaara nahin milta

afsos to ye hai ki tumhein qadr nahin hai

aashiq to zamane mein bhi DhunDa nahin milta

kahna wo shararat se tera dil ko chura kar

kya DhunDte ho hum se kaho kya nahin milta

'beKHud' nigah-e-lutf pe de Daliye dil ko

jo milta hai sarkar se thoDa nahin milta

(984) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta In English By Famous Poet Bekhud Dehlvi. Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta is written by Bekhud Dehlvi. Read famous Poem Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta for youth and Student by Bekhud Dehlvi. Free Download Mashuq Hamein Baat Ka Pura Nahin Milta in PDF.