Aap Apne Raqib Hain Hum Log

aap apne raqib hain hum log

kis qadar bad-nasib hain hum log

daulat-e-dard se hain mala-mal

go ba-zahir gharib hain hum log

hum ko har haal mein ujaDna hai

aashiqon ka nasib hain hum log

jitne apni KHudi se dur hue

utne un se qarib hain hum log

phir na sanwre bigaD ke hum shayad

dushmanon ka nasib ka nasib hain hum log

maut se khelte hain sham-o-sahar

zindagi ke qarib hain hum log

un ki nazron se dur hain phir bhi

un ke dil se qarib hain hum log

hum se puchho haqiqaten gham ki

der se gham-nasib hain hum log

kis ko ja kar sunain haal apna

ajnabi hain gharib hain hum log

dosh-e-hasti pe haar hain 'rana'

aaj-kal ke adib hain hum log

(931) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Apne Raqib Hain Hum Log In English By Famous Poet Birj Lal Raana. Aap Apne Raqib Hain Hum Log is written by Birj Lal Raana. Read famous Poem Aap Apne Raqib Hain Hum Log for youth and Student by Birj Lal Raana. Free Download Aap Apne Raqib Hain Hum Log in PDF.