Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai

koi tasawwur mein jalwa-gar hai bahaar dil mein sama rahi hai

nafas nafas gunguna raha hai nazar nazar muskura rahi hai

jhuki jhuki si nigah-e-qatil hazar ghamze dikha rahi hai

na jaane jaga hai baKHt kis ka ye kis ko bismil bana rahi hai

nahin hai ab tab-e-zabt baqi kahin main tauba na toD baiThun

tera ishaara nahin ye saqi to kyun ghaTa muskura rahi hai

na puchh haalat mariz-e-gham ki ghaDi mein kuchh hai ghaDi mein kuchh hai

tabib tashwish mein paDa hai qaza khaDi muskura rahi hai

meri shab-e-gham ka puchhna kya ajib pesh-e-nazar hai manzar

ye zindagi jhilmila rahi hai ki nind taron ko aa rahi hai

ye har ada paemal ho kar bhi dil ko hai zauq-e-paemali

qadam qadam par teri jawani ajib fitne jaga rahi hai

hawa kuchh aisi chali hai 'faizi' tamiz apnon ki ab hai mushkil

meri tamanna bhi kuchh KHafa hai wafa bhi daman chhuDa rahi hai

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai In English By Famous Poet Faizi Nizam Puri. Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai is written by Faizi Nizam Puri. Read famous Poem Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai for youth and Student by Faizi Nizam Puri. Free Download Koi Tasawwur Mein Jalwa-gar Hai Bahaar Dil Mein Sama Rahi Hai in PDF.