Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin

ghamon se khelte rahna koi hansi bhi nahin

na ho ye khel to phir lutf-e-zindagi bhi nahin

nahin ki dil mein tamanna mere koi bhi nahin

magar ye baat kuchh aisi ki guftani bhi nahin

abhi main kya uThun niyyat abhi bhari bhi nahin

sitam ye aur ki mai ki abhi kami bhi nahin

adaen un ki sunati hain mujh ko meri ghazal

ghazal bhi wo ki jo main ne abhi kahi bhi nahin

huzur-e-dost mere gu-magu ke aalam ne

kaha bhi un se jo kahna tha baat ki bhi nahin

hamare un ke talluq ka ab ye aalam hai

ki dosti ka hai kya zikr dushmani bhi nahin

kaha jo tark-e-mohabbat ko shaiKH ne khulla

farishta to nahin lekin ye aadmi bhi nahin

(875) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Ghamon Se Khelte Rahna Koi Hansi Bhi Nahin in PDF.