Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai

tamir-e-nau qaza-o-qadar ki nazar mein hai

aaj ek zalzala sa har ek baam-o-dar mein hai

kitne charagh umid ke jal jal ke bujh gae

kya jaane kitni der tulu-e-sahar mein hai

har ek hai su-e-manzil-e-jaanan rawan-dawan

har zarra kaenat ka paiham safar mein hai

gum-karda rah ho ke bhi un se hue na dur

gum-gashtagi bhi hai to usi rahguzar mein hai

aai kahan se dair-o-haram mein ye raushni

meri jabin ka nur mere sang-e-dar mein hai

guzri rawish rawish mein jalati hui charagh

shan-e-KHiram-e-yar nasim-e-sahar mein hai

tum jo nahin to ghar mein wo ab baat hi nahin

diwar-o-dar ki baat to diwar-o-dar mein hai

dil bhi dhaDak raha hai nigahen bhi dar pe hain

ek KHas lutf wada-e-na-mo'tabar mein hai

Dar hai kahin mujhi ko ye pahle Dubo na de

tufan-e-iltija jo meri chashm-e-tar mein hai

sahil tak aai mauj ye kah kar palaT gai

jine ka lutf zindagi-e-pur-KHatar mein hai

KHanjar-ba-kaf hai ye to wo KHanjar-dar-astin

itna sa farq rahzan o rahbar mein hai

aai jigar-figar hawadis ke faiz se

shoKHi jo in dinon mere KHun-e-jigar mein hai

ahl-e-hunar ke dil mein dhaDakte hain sab ke dil

sare jahan ka dard hamare jigar mein hai

ifsha-e-raaz-e-dil to baDa aib hai magar

ho gar adab ke sath to daKHil hunar mein hai

aankhon mein be-hunar ki khaTakta hai ban ke aib

ye ek ajib baat kamal-e-hunar mein hai

hota hai bazm-e-ghair mein bhi ab jo zikr-e-KHair

koi to baat 'fazli'-e-ashufta-sar mein hai

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai In English By Famous Poet Fazl Ahmad Kariim Fazli. Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai is written by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Read famous Poem Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai for youth and Student by Fazl Ahmad Kariim Fazli. Free Download Tamir-e-nau Qaza-o-qadar Ki Nazar Mein Hai in PDF.