Wo Hasin Baam Par Nahin Aata

wo hasin baam par nahin aata

chand apna nazar nahin aata

huk uThti nahin hai kab dil se

munh ko kis din jigar nahin aata

kaun is bekasi mein pursan hai

hosh do do pahar nahin aata

ye bhi sunna tha wae nakaami

marte hain aur mar nahin aata

thi kabhi baat baat mein tasir

ab dua mein asar nahin aata

khel hai kya mizaj-dan hona

kaam ye umr bhar nahin aata

sadgi ka hun us ki diwana

abhi jis ko sanwar nahin aata

be-KHudi hai ki chhai jati hai

hosh aata nazar nahin aata

ye hasin aur iltijaen 'hafiz'

rahm tum ko magar nahin aata

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Hasin Baam Par Nahin Aata In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Wo Hasin Baam Par Nahin Aata is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Wo Hasin Baam Par Nahin Aata for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Wo Hasin Baam Par Nahin Aata in PDF.