Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz

yun uTha de hamare ji se gharaz

ho na tere siwa kisi se gharaz

wo manaega jis se ruThe ho

hum ko minnat se aajizi se gharaz

ye bhi ehsan hai qanaat ka

apni aTki nahin kisi se gharaz

ye mahal bhi maqam-e-ibrat hai

aadmi ko ho aadmi se gharaz

dard-mandon ko kya dawa se kaam

gham-nasibon ko kya KHushi se gharaz

husn aaraishon ka ho muhtaj

us ko aaine aarsi se gharaz

chur hain nashsha-e-mohabbat mein

mai se matlab na mai-kashi se gharaz

der tak did ke maze luTe

KHub nikli ye be-KHudi se gharaz

be-niyazi ki shan hi ye nahin

us ko bandon ki bandi se gharaz

teri KHatir aziz hai warna

mujh ko dushman ki dosti se gharaz

hum mohabbat ke bande hain waiz

hum ko kya bahs mazhabi se gharaz

dair ho kaba ho kalisa ho

us ki dhun us ki bandagi se gharaz

shaiKH ko is qadar pilate kyun

mai-kashon ko thi dil-lagi se gharaz

us ko samjho na hazz-e-nafs 'hafiz'

aur hi kuchh hai shairi se gharaz

(741) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Yun UTha De Hamare Ji Se Gharaz in PDF.