Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke

diya jab jam-e-mai saqi ne bhar ke

to pachhtae bahut hum tauba kar ke

lipaT jao gale se waqt-e-aKHir

ki phir jita nahin hai koi mar ke

wahan se aa ke us ki bhi phiri aankh

wo tewar hi nahin ab nama-bar ke

koi jab puchhta hai haal dil ka

to ro dete hain hum ek aah bhar ke

gulon ke ishq mein de jaan bulbul

are ye hausle ek musht par ke

KHuda mahfuz rakkhe un ki zid se

jo kahte hain dikha dete hain kar ke

rahenge KHak mein hum ko mila kar

tere andaz is nichi nazar ke

dimagh apna na kyun kar arsh par ho

ye samjho to gada hain kis ke dar ke

hui hai qaid se bad-tar rihai

kiya aazad us ne par katar ke

uThe jate hain lo duniya se hum aaj

miTe jate hain jhagDe umr bhar ke

'hafiz' ab nala o fariyaad chhoDo

koi din yun bhi dekho sabr kar ke

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke In English By Famous Poet Hafeez Jaunpuri. Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke is written by Hafeez Jaunpuri. Read famous Poem Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke for youth and Student by Hafeez Jaunpuri. Free Download Diya Jab Jam-e-mai Saqi Ne Bhar Ke in PDF.