Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae

ashkon ka meri aankh se paigham na aae

ilzam ye ai dost tere nam na aae

kya kijiye darman-e-mariz-e-gham-e-ulfat

jab koi dawa aur dua kaam na aae

phir majma-e-aghyar tah-e-baam khaDa hai

us shoKH se kah do ki lab-e-baam na aae

afsana mera zeb-e-lab-e-bulbul-o-gul hai

Darta hun kahin aap pe ilzam na aae

kya dard ke maron pe wo karte hain inayat

aisa hai to ai dil mujhe aaram na aae

ai saqi-e-mai-KHana tere daur mein ye kya

tarsa karen hum aur koi jam na aae

ek bar utar jae jo saqi ki nazar se

ta-umr 'jamal' us ki taraf jam na aae

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Ashkon Ka Meri Aankh Se Paigham Na Aae in PDF.