Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko

tum aae jab nahin nakaam lauT jaane ko

to aao KHak karo dil ke aashiyane ko

bujha bujha sa hai kyun aaj udas udas hai dil

hai koi koh-e-alam aur TuT jaane ko

hai aarzu-e-dil-e-sogwar likhta rahun

tamam umr tere ishq ke fasane ko

bashar ki tang-dili is se baDh ke kya hogi

qafas samajhta rahe apne aashiyane ko

ye sher-o-fan ye mai-o-naghma ye shabab-o-rabab

ye baKHshishen hain gham-e-zindagi bhulane ko

dahan dahan ye udasi nazar nazar ye malal

ilahi kaun sa gham Das gaya zamane ko

'jamal' aur bhi sulga gaya ye aatish-e-gham

uThaya jam jo dil ki lagi bujhane ko

(686) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Tum Aae Jab Nahin Nakaam LauT Jaane Ko in PDF.