Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main

faiz-e-dil se mutrib-e-kaamil hua jata hun main

bais-e-rangini-e-mahfil hua jata hun main

kis liye ye shikwa-e-mahrumi-e-kaif-o-nishat

KHugar-e-alam KHud ai dil hua jata hun main

is qadar maKHmur hun teri nigah-e-mast se

chah mein manzil ki KHud manzil hua jata hun main

bahr-e-hasti mein maza dene lage tufan bhi ab

ai nadim aasuda-e-sahil hua jata hun main

be-sada se ho gae ham-saz sab tar-e-nafas

uf shikasta sa rabab-e-dil hua jata hun main

ahl-e-fan ahl-e-hunar dil khol kar dete hain dad

mahir-e-fan shair-e-kaamil hua jata hun main

ai 'jamal' aapas mein kya aql-o-junun ka rabt hai

jam-e-wahshat pi ke bhi aaqil hua jata hun main

(751) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main In English By Famous Poet Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main is written by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Read famous Poem Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main for youth and Student by Harbans Lal Aneja 'jamaal'. Free Download Faiz-e-dil Se Mutrib-e-kaamil Hua Jata Hun Main in PDF.