Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai

raushan hai faza shams koi hai na qamar hai

shair hun mujhe arsh-e-mualla ki KHabar hai

dariya mein hain girdab kinare pe bagule

aaram ki surat na idhar hai na udhar hai

patte ki khaDak se bhi larazta hai mera dil

sae se bhi KHatra mujhe dauran-e-safar hai

ek mauj bhi rakhti hai kinare ki tamanna

aawara jo phirta hun ye mera hi jigar hai

ek tair-e-mahsur asiri ka muKHalif

uD sakta hai bazu mein agar ek bhi par hai

maujon ko pata kya hai samundar ko KHabar kya

kis abr ki shoKHi hai sadaf mein jo guhar hai

kya ashk kisi TuTte tare pe bahaun

KHud apna hi anjam 'falak' pesh-e-nazar hai

(857) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Raushan Hai Faza Shams Koi Hai Na Qamar Hai in PDF.