Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki

niyyat agar KHarab hui hai huzur ki

gaDh lo koi kahani hamare qusur ki

kyun dil ki aag le na KHabar dur dur ki

kaundi hai har dimagh mein bijli futur ki

har zulm par kiya hai zamane se ehtijaj

kuchh bhi na ban paDa to mazammat zarur ki

tamir ka to waqt hai taKHrib ka junun

ab bhi hai aadmi ko zarurat shuur ki

ai sham-e-gham ki gahri KHamoshi tujhe salam

kanon mein ek aai hai aawaz dur ki

hosh uD gae to hosh haqiqat ka aa gaya

musa ki be-hisi mein tajalli thi nur ki

kahta hai inqalab zamana jise 'falak'

ek duniya muntazir hai usi ke zuhur ki

(698) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Niyyat Agar KHarab Hui Hai Huzur Ki in PDF.