Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin

ye aur baat hai har shaKHs ke guman mein nahin

zamin kahan hai jo aaghosh-e-asman mein nahin

ziya-faraaz jahan hain hazar mah-o-nujum

charagh koi magar mere aashiyan mein nahin

wafur-e-ishq ki nairangiyan are tauba

jo dil mein dard hai wo dil ki dastan mein nahin

tum apna tir-e-ada meri ruh mein DhunDo

in abaruon ki lachakti hui kaman mein nahin

ye aur baat ki gulshan pe gir paDe bijli

kami to koshish-e-tanzim-e-gulistan mein nahin

jo apni sust-rawi ka ilaj kar na sake

maqam us ka koi ahl-e-karwan mein nahin

rumuz-e-uqba se ahl-e-zamin hon kya waqif

kisi bhi pahlu koi rabt do-jahan mein nahin

'falak' main kaifiyyat-e-dil se KHud pareshan hun

kisi fughan mein asar hai kisi fughan mein nahin

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin In English By Famous Poet Heera Lal Falak Dehlvi. Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin is written by Heera Lal Falak Dehlvi. Read famous Poem Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin for youth and Student by Heera Lal Falak Dehlvi. Free Download Ye Aur Baat Hai Har ShaKHs Ke Guman Mein Nahin in PDF.