Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant

sad-barg gah dikhai hai gah arghawan basant

lai hai ek taza shagufa yahan basant

bhar bhar ke gulistan mein mai-e-aish-o-jashn se

deti hai har ghaDi mujhe ritl-e-garan basant

tu uTh chala to zard hue sab ke rang-e-ru

kal aa gai bahaar mein ye na-gahan basant

aate nazar hain dasht-o-jabal zard har taraf

hai ab ke sal aisi hai ai dostan basant

shadabi-e-nasim se bahr-e-surur ko

karti hai josh mar ke ab be-karan basant

gar fil-masal malaika hon ahl-e-zohd sab

le aawe bahr-e-sair unhen mu-kashan basant

patte nahin chaman mein khaDakte tere baghair

karti hai is libas mein har-dam fughan basant

gar shaKH-e-zafaran use kahiye to hai rawa

hai farah-baKHsh waqai is had kohan basant

gurwa bana ke rish-e-moKHazzab se mohtasib

jata hai us maqam mein jawe jahan basant

'insha' se shaiKH puchhta hai kya salah hai

targhib-e-baada di hai mujhe ai jawan basant

(1065) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Sad-barg Gah Dikhai Hai Gah Arghawan Basant in PDF.