Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne

shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne

dil se jo karah uTThi laila ko liya tap ne

dekhe tere jalwa ko baamhan ki jo beTi bhi

munh se wahin kalme ko yakbar lage japne

hai jins pari sa kuchh aadam to nahin aslan

ek aag laga di hai us amard-e-KHush-gap ne

is tarah ke milne mein kya lutf raha baqi

hum us se lage rukne wo hum se laga chhapne

hangam-e-suKHan-sanji aatish ki zabani ko

sharminda kiya ai dil us shoKH ke gap-shap ne

har amr mein duniya ke maujud jidhar dekho

aadam ko kiya hairan shaitan ki lap-jhap ne

garmi se mere dil ki is mausam-e-sarma mein

ye gumbad-e-gardun bhi yakbar laga tapne

rah wadi-e-aiman ki leta hun ki ghabraya

is dil ki badaulat yan mujh ko taraf-e-chap ne

hai hum se bhi ho sakta jo kuchh na kiya hoga

majnun se jafa-kash ne farhad se sar-khap ne

chal haT bhi pare bijli dal baadalon ko le kar

dahla hai diya teri talwaron ki shap shap ne

kab tak na karahun main nala na bharun kyun-kar

main kya karun ai 'insha' ab ji hi laga khapne

(799) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne In English By Famous Poet Insha Allah Khan 'Insha'. Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne is written by Insha Allah Khan 'Insha'. Read famous Poem Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne for youth and Student by Insha Allah Khan 'Insha'. Free Download Shab KHwab Mein Dekha Tha Majnun Ko Kahin Apne in PDF.