Achchha Hai Un Se Koi Taqaza Kiya Na Jae

achchha hai un se koi taqaza kiya na jae

apni nazar mein aap ko ruswa kiya na jae

hum hain tera KHayal hai tera jamal hai

ek pal bhi apne aap ko tanha kiya na jae

uThne ko uTh to jaen teri anjuman se hum

par teri anjuman ko bhi suna kiya na jae

un ki rawish juda hai hamari rawish juda

hum se to baat baat pe jhagDa kiya na jae

har-chand e'tibar mein dhoke bhi hain magar

ye to nahin kisi pe bharosa kiya na jae

lahja bana ke baat karen un ke samne

hum se to is tarah ka tamasha kiya na jae

inam ho KHitab ho waise mile kahan

jab tak sifarishon ko ikaTTha kiya na jae

is waqt hum se puchh na gham rozgar ke

hum se har ek ghunT ko kaDwa kiya na jae

(624) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchha Hai Un Se Koi Taqaza Kiya Na Jae In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Achchha Hai Un Se Koi Taqaza Kiya Na Jae is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Achchha Hai Un Se Koi Taqaza Kiya Na Jae for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Achchha Hai Un Se Koi Taqaza Kiya Na Jae in PDF.