Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya

muddat hui us jaan-e-haya ne hum se ye iqrar kiya

jitne bhi badnam hue hum utna us ne pyar kiya

pahle bhi KHush-chashmon mein hum chaukanna se rahte the

teri soi aankhon ne to aur hamein hoshiyar kiya

jate jate koi hum se achchhe rahna kah to gaya

puchhe lekin puchhne wale kis ne ye bimar kiya

qatra qatra sirf hua hai ishq mein apne dil ka lahu

shakl dikhai tab us ne jab aankhon ko KHun-bar kiya

hum par kitni bar paDe ye daure bhi tanhai ke

jo bhi hum se milne aaya milne se inkar kiya

ishq mein kya nuqsan nafa hai hum ko kya samjhate ho

hum ne sari umr hi yaro dil ka karobar kiya

mahfil par jab nind si chhai sab ke sab KHamosh hue

hum ne tab kuchh sher sunaya logon ko bedar kiya

ab tum socho ab tum jaano jo chaho ab rang bharo

hum ne to ek naqsha khincha ek KHaka tayyar kiya

desh se jab pardesh sidhaare hum par ye bhi waqt paDa

nazmen chhoDi ghazlen chhoDi giton ka bewpar kiya

(807) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Muddat Hui Us Jaan-e-haya Ne Humse Ye Iqrar Kiya in PDF.