Zara Si Baat Pe Har Rasm ToD Aaya Tha

zara si baat pe har rasm toD aaya tha

dil-e-tabah ne bhi kya mizaj paya tha

guzar gaya hai koi lamha-e-sharar ki tarah

abhi to main use pahchan bhi na paya tha

muaf kar na saki meri zindagi mujh ko

wo ek lamha ki main tujh se tang aaya tha

shagufta phul simaT kar kali bane jaise

kuchh is kamal se tu ne badan churaya tha

pata nahin ki mere baad un pe kya guzri

main chand KHwab zamane mein chhoD aaya tha

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zara Si Baat Pe Har Rasm ToD Aaya Tha In English By Famous Poet Jaan Nisar Akhtar. Zara Si Baat Pe Har Rasm ToD Aaya Tha is written by Jaan Nisar Akhtar. Read famous Poem Zara Si Baat Pe Har Rasm ToD Aaya Tha for youth and Student by Jaan Nisar Akhtar. Free Download Zara Si Baat Pe Har Rasm ToD Aaya Tha in PDF.