Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain

chahe tum meri binai khurach Dalo phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga

un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahd nahin toDunga

tez nazar na-binaon ki aabaadi mein

kya main apne dhyan ki ye punji bhi ginwa dun

han mere KHwabon ko tumhaari subhon ki sard aur saya-gun tabiron se nafrat hai

in subhon ne sham ke hathon ab tak jitne suraj beche

wo sab ek barfani bhap ki chamkili aur chakkar khati golai the

so mere KHwabon ki raaten jalti aur dahakti raaten

aisi yaKH-basta tabiron ke har din se achchhi hain aur sachchi bhi hain

jis mein dhundla chakkar khata chamkila-pan chhe atraf ka rog bana hai

mere andhere bhi sachche hain

aur tumhaare rog ujale bhi jhuTe hain

raaten sachchi hain din jhuTe

jab tak din jhuTe hain jab tak

raaten sahna aur apne KHwabon mein rahna

KHwabon ko bahkane wale din ke ujalon se achchha hai

han main bahkaon ki dhund nahin oDhunga

chahe tum meri binai khurach Dalo main phir bhi apne KHwab nahin chhoDunga

apna ahd nahin toDunga

yahi to bas mera sab kuchh hai

mah o sal ke ghaarat-gar se meri Thani hai

meri jaan par aan bani hai

chahe kuchh ho mere aaKHiri sans talak ab chahe kuchh ho

(2719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain In English By Famous Poet Jaun Eliya. Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain is written by Jaun Eliya. Read famous Poem Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain for youth and Student by Jaun Eliya. Free Download Raaten Sachchi Hain Din JhuTe Hain in PDF.