Koi Manzil Nahin Milti To Thahar Jate Hain

koi manzil nahin milti to Thahar jate hain

ashk aankhon mein musafir ki tarah aate hain

kyun tere hijr ke manzar pe sitam Dhate hain

zaKHm bhi dete hain aur KHwab bhi dikhlate hain

hum bhi in bachchon ki manind koi pal ji len

ek sikka jo hatheli pe saja late hain

ye to har roz ka mamul hai hairan ho kyun

pyas hi pite hain hum bhuk hi hum khate hain

har baDa bachchon ko jine ki dua deta hai

hum bhi shayad isi wirse ki saza pate hain

subh le jate hain hum apna janaza ghar se

sham ko phir ise kandhon pe uTha late hain

shahr ki bhiD mein kya ho isi KHatir 'azar'

apni pahchan ko hum ghar mein hi chhoD aate hain

(383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Manzil Nahin Milti To Thahar Jate Hain In English By Famous Poet Kafeel Aazar Amrohvi. Koi Manzil Nahin Milti To Thahar Jate Hain is written by Kafeel Aazar Amrohvi. Read famous Poem Koi Manzil Nahin Milti To Thahar Jate Hain for youth and Student by Kafeel Aazar Amrohvi. Free Download Koi Manzil Nahin Milti To Thahar Jate Hain in PDF.