Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain

aate jate log hamein kyun dost purane lagte hain

chahat ki is had par yarab hum to diwane lagte hai

sunne wala koi agar hota kahte dil ki baaton ko

us ke bina to aaj adhure apne fasane lagte hain

phir se bahaaren le kar aai mahki hui si yaadon ko

aa bhi jao ab milne ke achchhe bahane lagte hain

dil karta hai phir se dekhun khoe hue us manzar ko

pyasi aankho ko wo nazare kitne suhane lagte hain

KHushbu wahi hai rang wahi hai aaj wafa ke phulon ka

aap kya aae phir se chaman mein din wo purane lagte hain

TuTi hui si ek 'kiran' hai kafi andhere walon ko

ghar mein ujala DhunDhne wale ghar ko sajaane lagte hai

(1575) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain In English By Famous Poet Kavita Kiran. Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain is written by Kavita Kiran. Read famous Poem Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain for youth and Student by Kavita Kiran. Free Download Aate Jate Log Hamein Kyun Dost Purane Lagte Hain in PDF.