Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin

hijr ki manzil hamein ab ke pasand aai nahin

hum akele hain magar hamrah tanhai nahin

ek din chhin jaega aankhon se sara rang-o-nur

dekh lo un ko ki ye manzar hameshai nahin

ek junun ke waste basti ko wusat di gai

ek wahshat ke liye sahra mein pahnai nahin

kaun se manzar ki tabani andhera kar gai

aisa kya dekha ki ab aankhon mein binai nahin

jab kabhi fursat milegi dekh lenge sare KHwab

KHwab bhi apne hain ye raaten bhi harjai nahin

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin In English By Famous Poet Mahtab Haider Naqvi. Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin is written by Mahtab Haider Naqvi. Read famous Poem Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin for youth and Student by Mahtab Haider Naqvi. Free Download Hijr Ki Manzil Hamein Ab Ke Pasand Aai Nahin in PDF.